RRAVI 13 years ago
Is dil mein salamt hy ab tak
Wo shukhi-e-lab wo harf-e-wafa
Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
So bar jise chuma hum ne
So bar parstish ki jis ki
Is dil mein salamt hy ab tak
Wo gard-e-alm wo deda-e-num
Ham jis mein chupa kar rakhte the
Tasveer bikharti yadöön ki
Zanjèèr pighalte wadöön ki
Punji nakam iradøön ki
Aay taz hawa naraz na ho
Is dil mein salamt hy ab tak
Samam bicharti saät kä
Kuch tukre garm dupahuroon ka
Kuch raz narm sawaloon ke
Kuch dar unmul kheyaloon ke
Ik sacha roop haqeqt ka
Ik jhota lafz MOHABAT ka...!
RRAVI 13 years ago
ek khel hai ye zindagi,
ek tamaasha hai cheez 'wafaa'
jo sulagti hoi chingari ko
deti hai rah-rahkar hawaa."
" Jab bharak uthti hai aag dil mein
tab, bewafaii ki baarish hoti hai.
bujh jaate hain ,dil ke, shole sabhi ,
aur tanhai ki raat ,shuru hoti hai .. "
" wafaa ka juloos nikaal kar,
bewafaai chain se soti hai.
Bas, tabhi ek roz hamaari ,
apni parchhaayee se mulakat hoti hai "
" Sunkar iss khel ke niyam,
parchaye bhi saath roti hai ..
Ho jaate hain jab aansoon tamaam..to
kaandhon par uthi, khud ki baraat hoti hai
RRAVI 13 years ago Hum Khaak-e-Zameen Hokar Us Chand Ki
Hasrat Kar Baithe........,
Wo Cheez Sitaron Se B Onchi Thi Jissay Hum
Mohabat Kar Baithe......
Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai.
RRAVI 13 years ago [b]Apne Ahsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Main Sadiyon Se Idhoora Ho Mukamal Kar Do
Na Tumhe Hoosh Raha Na Mujhe Hoosh Raha
Iss Qader Toot Ker Chaho Ki Mujhay Pagal Kar Do
Tum Hathali Ko Mara Pyaar Ki Mehndi Say Rang Do
Apni Ankhon Main Mara Naam Ka Kajal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Hon Main Iss Tarha Too Kar Bersoo Mujh Per
Main To Sehra Ho Mujhay Pyaar Ka Badal Kar Do
Iss K Saya Main Mara Khawab Mahek Jayin Ga
Mare Chehray Per Umeddon Ka Anchal Kar Do
Apna Honton Ki Moher Lagaoo Mujh Per
Ek Nazer Pyaar Say Deakho Mujhay Ghayal Kar Do[/b]
RRAVI 13 years ago [b]Kya Mila Tumhe Socho, Humko Aazmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein
Tum Toh Chaar Din Mein Hi Apna Hownsla Kho Beithe
Umar Beet Jaati Hai, Roothne-Manaane Mein
Tumne Sab Luta diye Ashk Meri Palko Ke
Ik Zamaana Lagta Hai,Ashk ko juttne me
Tumne ek pal me chinn liya mere chehre ko wo noor
Barso lag jate he Aaine Sajaane Mein
Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai
Koi Ghar Banaane Mein, Toh Koi Ghar Jalaane Mein
Tab Dil tha Diwana, Jo Uska Rukh Na Pehchana
Saazishe Bhi Shaamil thi Jiske Muskuraane Mein[/b]