pravin143s 11 years ago Yah Bharatvarsh humara hai,
humko praano se pyara hai.
yah ek alaukik divya desh,
kahte Brahma, Vishnu, Mahesh.
Yah Ramkrishan ki janmbhoomi,
Vikramditya ki karm bhoomi.
Gautam, Nanak jaise fikir,
Rana Pratap se shoorveer.
Bose, Tilak, Ganghi, Aazad,
Bhagat Singh, Rajguru.
sabki aankhon ka tara hai,
yah Bharatvarsh humara hai.
Happy Independence Day 2013
===========================
pravin143s 11 years ago bade hi naram the wo naram dal banane wale,
shayad nahi samjhe the,wo angrejo ki chaale,
nahi karte the wo raham, kyonki dil the unke kaale,
the bade hi harami wo gori chmdi wale,
kar yaad us manjar ki,ab to aankhe hai bhar aai !!
De veero ne………
pravin143s 11 years ago De veero ne kurbaaniya,hame thi aajadi dilwai !
mat bhulo un shahido ko ,jinhone vatan ke liye goli khai !!
veer bhagat singh chandarshekhar ne ,garam dal banaya tha,
angrejo ko chun-chun maara, na koi dundha paya tha,
mera rang de basanti chola, kya joshila man banaya tha,
wo tha maa ka ladla, jo usi sherni ne jaya tha,
ab to bas kuchh hi moko par,unki yaad aai !!
De veero ne
pravin143s 11 years ago Humara Pyara Bharat Desh
Humara pyara Bharat desh,
jahaan se nyara Bharat desh.
yahaan janme the Krishan mahan,
diya Geeta ka sabko gyan.
sant the Tulsi aur Kabir,
jaante the jan-jan ki peer.
desh ka gaurav Shiva Partap,
amit hai jinaki ab tak chhap.
Bhagat Singh, Nehru aur Subhash,
ban gaye the jan-jan ki aas.
gunjta Gandhi ka sandesh,
Humara pyara Bharat desh.
pravin143s 11 years ago Desh mera kitna pyara
desh mera kitna pyara,
ye kaise batlau mai,
desho me kitna nyara,
ye kaise samjhau mai,
isko kitna pyar karu,
ye kaise jatlau mai!!
desh mera ……………
isko mai dil se chahu,
ye kaise dikhlau mai,
mahima iski aprmpaar,
kya -kya tujhe sunaau mai,
desh mera……………
iski mahak sondhi-sondhi,
ye kaise sunghwau mai,
iski ghtao me jaadu,
khud hi kichta aau mai,
desh mera ……………..
iski mahima ke aage ,
apna sis nvaaou mai,
dekh-dekh iski khyati,
jaane kyon itraau mai,
desh mera ……………
pravin143s 11 years ago Tiranga uncha lahraye
Dhwaj Bharat ka apana pyara,
Tiranga uncha lahraye.
Gaurav hai yah matribhumi ka,
Jag men shan badhaye.
Sab se uper rang keshariya ,
Ran veeneron ki nishani.
Neeche hara rang kahata hai,
Aman prem ki kahani.
Beech men ujjwal shwet rang,
Her man ko sukh panhuchaye.
Shikheron maidanon men ye,
Her jagah hai shobha pata.
Sager ke seene per chalate,
Poton per phahrata.
Isako aage leker chalatin,
Hain teenon senayen.
Uncha sada uthayenge ham,
Jara na jhukane denge.
Buri nazar dale ger koi,
Sabak use ham denge.
Ajadi ka chinh tiranga uncha uthata jaye
chikku34 11 years ago enthenkilum one paray.yes or no
pravin143s 11 years ago Dil Se Salaam Karein Unn Shaheedo Ko
Hissey Mein Jinkey The Mukam Aata Hai
Who Khoon Kushnaseeb Hota Hai Yaro
Jo Watan Ki Mitti Ke Kaam Aata Hai!
Happy Independence Day!